✅ 7 - 8 din ke andar aapko lagne lagta hai ki yes mai English seekh sakta hu.
✅ 14-15 din ke andar aap confidence ke saath English bolne ki shuruaat kar dete hain.
✅ Aapko object speaking/subject speaking/keyword speaking /word stealing Jaise exercise karai jatee hai jinse aap bina kisi aur person ki help ke English ki practice kar sakte hai.
✅ 20 - 25 din me RLS Formula (Read it loud, Listening, Speaking) se aapki Fluency aur Pronunciation teji se Improve hone lgatee hai.
✅ 30 - 35 din ke andar aap comfortably logo se English me baat karne lagate hai. ( Interviews/PTM/Party/G.D ) me aasani se English bol pate hai.
✅ Hamare Speacial Confidence Building Session ki wajah se 45 -50 dino ke andar aapke hasitation bilkul khatm ho jati hai.
✅ Ab agar aap regular practice continue rakhte hai to Course over hote - hote aap ek confident English aur Fluent English Speaker ban jate hai.
Aasan aur mazedaar tarike se baney 90 recorded video lessons ko aap kabhi bhi dekh sakte ho. Har lesson 15 se 20 minute ka hai, jisme easy examples ke saath, apne funny way me, maine English ke sab important topics ko simple Hindi me samjhaaya hai.
Is Live class me aapko step by step, Zero se advanced level tak ke topics cover kiye jayenge.
Agar aap bilkul English nahi bol pate, to koi baat nahi. Is course me maine step by step, beginner se advance level tak ke topics aise cover kiye hain ki aapko pata bhi nahi chalega, aur aap advance level par pohonch jaoge.
Har lesson ke baad khud ko parakhne ke liye, ek quiz hai jisme us din ke lesson se jude sawaal honge. Quiz poora karne ke baad aapko score pata chal jayega.
Har lesson me batayi gayi baato ke notes bhi is course me aapko diye jayenge, taki aap lesson dekhne ke baad padh sako aur khud bol kar practice kar sako.
Is course ka sabse special part hai practice set, kyunki isme aap doosre students ke saath audio me practice kar sakte hai jisse aap fluent English bolne me kaamyaab ho paoge.
Course ke 90 days poora ho jane ke baad aapko Certificate mil jata hai.
जवाब देखने के लिए सवाल पर क्लिक करें
वे सभी लोग जो इंग्लिश भाषा सीखना चाहते हैं